Monday 6 June 2016

Aapke baalon ke liye kuch khaas tips (part -3)

Baal jayenge mahak-

Nimbu me praktrik rup se siteres ki mahak hoti hain. Nimbu ke ras baalon se rusi dur karne me sahayek hain. Nimbu ke ras ko baalon me lagaaye aur seer ko milde shampoo se dho le. Baalon ko gulaabjal se kuch der bhigone par uski mahak baalon me sama jaati hain. Chameli ke ful me kafi mahak hoti hain. Iss tel se seer ki massage karne se baalon me na kewal mahak bharti hain balki baal ghane bhi hote hain.

Baalon ke liye cleaning care-
 
Kai baar aapke baal isliye bhi rukhe bejaan hote hain kyunki aapka hair brush aur kanghi gandi aur kitaanu se bhari hoti hain. Isliye samay-samay par kanghi saaf karte rahe. Iske liye garam paani me thoda sa soda daalkar usme hair brush aur kangha daal de. Thodi der baad kisi brush ya sponge se ragde, fir saaf pani se dho le. Ab aaraam se baalon ko sanwaare.

Halke baalon me style-

Agar aapke baal bahut patle hain to aap freenze style ka hair cut karwaaye. Freenze  yani layers ko kuch iss tarah kattehain ki baalon ka koi ek aakaar nahi dikhta hain, yani alag-alag  aakaar ke filips. Bob cut halke baalon me acche lagte hain, lekin inhe freenze  ke saath banaaya jaaye toh yah aur bhi acche lagte hain. Inn sabse aapke baal bhi  kamjor nahi hote hain aur jhadne ki samsaya se bhi chutkara milta hain.

Baal banege silky-
 


Baalon ko shampoo karne ke baad touliye se pauch le. Do bade chammach dahi me 2 bade chammach mayoneez milaakar iss  ishran ko baalon me lagaaye. 10-12 minute ke baad baalon ko dho le. Aakhir me baalon ko thande paani se hi dho le. Mehandi me 2 chammach aanwala aur shikaakai powder milaakar garm paani me raatbhar bhigo de. Agle din  iss mishran ko dahi me milaakar baalon me lagaaye. Isse baalon me chamak bani rahti hain.

No comments: