Thursday 9 June 2016

Beauty tips khaas aapke liye (Part 3)

Agar ho vaxing bamp-
  Aapko vaxing bump ki samsya se na jujhna pade, iske liye aap vaxing ke baad kada scrub bilkul na kare. Vaxing kiye hue sthaan ko aap sirf  halke haatho se dhoye. Vaxing bump ke upchaar me aap suti kapde ki bhi madad le sakti  hain. Vaxing kiye hue sthaan ko suti kapde se dhak de. Twacha par dhul ko jama na hone de. Vaxing bump ka yah upchaar bhi behad kargaar hain. Isse aapki twacha bhi narm rahti hain.

Khubsurat rahe adiya-
 Image result for images of girl who has beautiful heels
 Pairo ko baar-baar thande aur narm paani me na daale. Sabun lagaakar kade brush ya pumik stone se adiyo ko ragd kar saaf kare. Raat ko sote samay malai me kuch  bunde nimbu ka ras miaakar, adiyo  par ek do minute maalish kare. Isse adiya nahi fategi. Raat ko sote samay  adiyo par jetun ke tel ki maalish karne se adiya fatne ki sambhavna kam hain. Isse aapki adiya sunder dikhegi.

Gori nikhri peeth
Jyadatar mahilaaye peeth va baajuo ke peeche ke hisse ko najarandaaj kar deti hain. Inn hisso kisafaai ke liye anti-bactirial cleanser use me laaye. Ise lagaane se muhaaso se bhi bacha ja sakta hain. Baaju ke neeche ke hisse par ubhre chhote-chhote daano se bachne ke liye  alfa beeta hydraxy lotion  lagaaye. Kabhi bhi mrit twacha ko ranzer se saaf karne ka pryaas na kare. Aisa karne se twacha ko nuksaan hota hain.

Saaf kare makeup brush-
Makeup ke dauraan istemaal hone wale brush ko humesha saaf-suthra rakhna behad jaruri hain. Iske liye ek halka foaming cleanser ka istemaal kar aap brush saaf kar sakti hain. Iske alava aap jis paani ka use kare wah saaf hona chahiye. Ek bade bartan   me gunguna paani bhare aur usme shampoo ki kuch bunde daale. Iss paani me apne  makeup brush ki tip duboiye  aur  haatho  se saaf kijiye.

No comments: