Tuesday 12 January 2016

Chehare ke anchahe baaloo ko hathane ke gharelu nushkhe

 Chahre par baal, dekhne me acche nahi lagte. Iss samsya ko dur karne ke liye kuch aise upaay aapke liye madadgaar sabit hoga.

 Besan ka paste:-
Ek katoti me aadha chamach besan, aadha chamahc dudh, aadha chammach haldi powder aur ek
chamacch malai le. In sabko ek saath milakar iska paste taiyaar kar le aur chehre par lagaaye. 25 minute baad chahre ko dho le. Yah chahre se anchahe baal ko dur karne me madad karega.

Neem ka paste:-
Ek katore me sukhi neem ki pattiya ya neem powder aur chutki bhar haldi milakar paste taiyaar kare aur chehre par lagaaye.

Shahad:-
2 chamach kacche aaloo ka ras, raatbhar bhigoi aur pisi hui arhar daal, 4 chamach nimbu ka ras aur ek chamach shahad milakar paste bana le aur chahre par lagaye aur jab sukh jaaye toh isse halke gungune pani se dho le. Yah chehre ke baalo ko hataane me madad karne ke alawa chahre par chamak banaye rakhne me bhi madadgaar sabit hoga.

  Aap kitne bhi sunder kyo na ho par agar aapke chehre par baal hain toh chahre ki sundarta kam lagti hain. Inhe dur karne ke liye kisi bahri dawai ki jarurat nahi balki aapki rasoi me hi iska upchaar mil jaayega jo aapke chehre se baalo ko hatane me sahayak rahega.