Friday 29 January 2016

Chehre ke masse dur karne ke upay

Hum jante hain ki motape, garbhvastha, diabeties ki wajah se kai baar skin tags  asal me twacha par ativardhi hote hain. Yeh un jagaho par hote hain, jahan twacha mudti ya fold hoti hain, jaise gardan,pet,stan ke neeche, palko ke upar aur bagalo me. Halanki inse kisi tarah ka dard nahi hota, na hi yeh kisi bhi tarah ka nuksaan pahuchaate hain, lekin dekhne me bahut bure lagte hain. Kuch gharelu nushkho se aap inhe aasani se hata sakti hain.
 Image result for images of girls who having massa on the face
 Nimbu ka ras 
Nimbu me moujud acid mrit koshikaao ko hatata hain. Cotton ko nimbu ke ras me duboye aur masse par lagaaye. Kuch der baad dho le. Aisa hafte me 2 ya 3 baar kare. 2-3 hafto me massaa dheere-dheere kam hone lag jaayega.

 
Arandi ka tel
Thode  se arandi ke tel yani caster oil ko baking powder me milaker paste banaaye aur masse par lagaaye. 2 se 4 hafto tak isse lagaaye.
 Image result for images of arandi ka telImage result for images of arandi
Lahsun
Lahsun ek bahut achha antibactrial aur antifungle hain. Lahsun ki thodi-si kaliyo ko kute. Inhe masse ke upar lagaaye. Kuch din baad massa gir jaayega.
 Image result for images of garlic
Kele ka chilka
Kele ka chilka bhi massa hatane me prabhavi hain. Chilke ka chota sa tukada le, iske ander wale bhaag ko masse pe ragde. Kuch din tak har roz aisa kare.
 Image result for images of kele ka chilka
Annanaas ka Ras
Annanaas ka ras bhi masse hatane me prabhavshaali hain. Annanaas ka thoda-sa taaja ras masse par lagaaye. Thode din lagataar aisa kare. Massa chota hota chala jayega.
 Image result for images of annanaas ka ras
Pyaaj ka ras
Pyaaj ko kaat kar usme namak milakar puri raat rakhe. Subah  iss pyaaj  ka ras nikaal le. Iss ras ko masse par lagaaye. Kuch hafto me massa gayab ho jaayega.
 Image result for images of pyaz ka ras
Dental flose
Masse ke chaaro aur dental flose baandh dijiye. Aisa karne se isme khun ka pravaah ruk jaayega. Thode dino baad massa kala hoker gir jaayega. 
Image result for images of dental flossImage result for images of dental floss

No comments: