Thursday 28 January 2016

Makeup bigad jaane par apnaaye kuch yeh tips


 
Kahi jana hain   aur jaldi me makeup bigad jaaye toh gabraahat ho jaati hain toh gabraaye nahi apnaaye mere dwara bataaye gaye yeh tips jo aapke liye behad kaam ke sabit hoge.
1)Blush jyaada lag gaya ho agar
kya na kare:- Make remover  ka istemaal  na kare, varna saath me compact aur foundation bhi hat jaayega aur makeup me darar dikhegi
kya kare:- step-1: Halke hath me cotton ball ko gol gol gaal par gumaaye, taki atirikt blush nikal jaaye. Cotton ball ko gol gol gumate waqt ander ki aur gaalo ke ubhaar ki taraf laaye, taki yah aapke chehre par faile nahi.
Step-2: Gaalo par blush ab bhi jyaada lag raha haintoh gaalo par powder lagaaye.
Aage se dhyaan rakhe
Humesha blush makeup ke aakhir me lagaaye, taki pura makeup karne ke baad aapko thik se pata chal sake ki aapko kitna blush lagaana hain. Iske alaawa blush ki parat ek ek karke lagaaye, ikhthha na thope.

2)Maskara fail gaya ho toh
Kya na kare.:.Palko ke sukhne ka intzaar na kare. Hataane ki prakriya shuru kare.
Kya kare:-Step-1:Maskara kuch seconds me sukh jaata hain,isliye turant action me aaye. Eyelash kanghe se chipki hui palko aur jyaada maskare ko hataaye. Palko ki jhado se shuru karke kanghe ko bahar ki tarah kare.
Step-2:Yadi aapse jyaada maskara hat gaya hain toh iska dusara kot lagaaye. Pahle palko ki jhado me lagaaye aur fir siro tak laaye.
Aage se dhayaan rakhe
Maskara 3 mahine me ek baar me acchi tarah hilaaye. Brush ko pump na kare. Isse tube me hawa bhar jaane se maskara jaldi sukhega.

3)Powder jyaada hogaya ho toh
kya na kare:-Powder ko chipaane ke liye aur makeup na lagaaye. Chehre par makeup ka paste laga hua dikhaai dega.
Step-1Hydreting facial mist ki botal chehre se 6 inch ki duri par rakhe. Aankhe band kare aur isse golakaar ghumaate hue chehre par spry kare.
Step-2Yadi aapse spry jyaada ho gaya ho aur aisa aksar ho bhi jaata hain toh tissue papar khol kar apne pure chehre par rakhe, halke haath se dabaaye. Atirikt nami nikal jaayegi aur jarurat padne par yah saari prakriya dobaara kare
Aage se dhyaan rakhe
Powder sara din baar baar na lagaaye, iski bajaay blotting paper ka istemaal kare.Sheer translusent powder lagaaye..

No comments: