Monday 16 May 2016

Aapke baalon ki khusurti badaane ke liye kuch khaas tips

 Image result for images of beautiful hair of girl
Baal bane khubsurat-
Maynej me badaam, jetun ka tel ya fir nariyal ka tel milaa kar  lagaaye. Fir ise baalon me 20 minute tak laga rahne de, iske baad baalon ko milde shampoo se dho le. Baalon me nahaane se pahle aloeveera ka jel lagaaye. Isse baal majbut, mote aur khubsurat ho jaayenge. Baalon ki khubsurti badaane ke liye iss tarike ko hafte me ek se do baar upyog me le. Yah baal jhadne ki samsya se chutkara bhi dega.

Baalon ke liye vitamins-
Baalon ki khubsurti me paushak tatvo ki aham bhumika hoti hain. Baalon ko chamakdaar, khubsurat aur lamba banaane ke liye vitamins behad jaruri hote hain. Vitamins ki kami ke karan baal shushk aur kamjor ho jaate hain jisse baalon ki samsaaye jaise- baal jhadna, shushk hona, dandruff-A, B, B-complex, C,D,E avam protien, iron, iodin ka use kare.

Curly hair ki dekhbhaal-
Curly hair ki dekhbhaal ke liye mayonez, and, dudh,dahi, shahad aur nimbu kuch aise hair pack hain, jo asardaar hone ke saath-saath praktrik bhi hain. Curly hair ki dekhbhaal me conditioner baazar se kharid sakti hain ya fir ise ghar par bana sakti hain. Shahad, anda, seb, sirka aur chay bhatrin praktrik conditioner hain. isse aapke baal majbut bante hain.

Baalon ke liye sirka-
Baalon me shampoo karne ke baad lagbhag ek litre paani me karib 75 mililitre sirke ka ghol taiyaar kare aur use bataur conditioner use karna chahiye. Yadi aapke baal oily hain toh sirke me nimbu ka ras milaakar baalon me lagaana chehiye. Baalon ko dhone ke baad sirka aur thoda-sa baadam ka tel milaakar scalp par acchi tarah se lagaaye. Isse  scalp me nami bhi aayegi, Dandruff ki samsaya bhi nahi hogi.
 
 

No comments: