Wednesday 11 May 2016

(Part 12) Aapke skin ke liye kuch khaas tips

Shahad se nikhaare apni twacha-
Shahad na sirf sehat balki chehre ke liye bhi behad upyogi hota hain. Iska istemaal niymit rup se karne se twacha chamakdaar aur komal banti hain. Chehre ko chamakdaar banaane ke liye ek chammach multani mittti, ek chammach shahad, aur ek chammach gulaabjal and ek chammach santre  ke ras ko milaakar paste taiyaar kar le. Paste ko chehre par lagaaye. Iss paste se rangat aati hain aur twacha me nami bhi bani rahti hain. Paste ko niymit istemaal kar sakti hain.

Besan lagaaye chehre par-
Chehre se daag dhabbe ko dur karne ke liye besan me thoda-sa dahi milaakar paste tayaar kar le aur use chehre par lagaaye. 10 se 15 minute tak lagaaye rakhne ke baad, chehre ko saaf pani se dho le. Isse twacha bhi saaf hogi aur daag dhabbe bhi dur honge. Aap chahe toh dudh, shahad , santre ka ras, gajar ka ras ko milaakar paste tayaar kar le aur chehre par lagaaye. Isse chehre ki gandagi saaf ho jayegi.

Dur hongi pigmentation-
Agar aapko pigmentation ki samsya hain toh taaje aloeveera jel ko daag wali jagah par aadhe ghante ke liye ya puri raat lagaaye rakhe. Agli subah gungune pani se chehra dho le. Aloeveera Pigmentation dur karne ke liye accha hota hain. Taaji cream me nimbu ka ras milaakar pigmentation wali jagah par lagaaye. Isse daag bhi dur hoga, chehre par chamak bhi aayegi Isse aapka chehra mulaayam bhi dikhega.

Jarur lagaaye sunscreen-
Sunscreen saundary badaane me madad toh nahi karti balki twacha ko dhup ki tej altra-voilet kirno se surksha jarur pradaan karti hain. Dhup se bachne ke liye har chaar ghante me sunscreen ka prayog karna jaruri hain. Agar aap iska prayog nahi karegi toh savli hone ka darr bhi rahega. Saath hi brown spot aur jhuriya bhi inhi ke karan hoti hain. Isliye jab bhi bahar jaaye toh sunscreen jarur lagaaye.

No comments: