Thursday 5 May 2016

(Part 10) Aapke skin ke liye khuchh khaas tips

Lagaaye tamaatar se bana bleach-
 Image result for images of tomato bleach
Tamaatar har ghar me hota hi yah ek accha praktrik bleach mana jaata hain. Tamaatar ko tukde me kaat le inn tukdo ko chehre par ragde. Thodi der baad chehre ko dho de. Yah na kewal chehre me chamak laata hain balki blackhads ko bhi dur karta hain. Haldi me thoda sa nimbu ka ras milaakar lagaaye. Paste sukhne ke baad thnde paani se chehra dho le. Haldi praktrik bleach hota hain jo chehre ko naram banaata hain.

Dur ho aise rukhaapan-
 Image result for images of girl who has dry skin
Agar aapki twacha me rukhapan jyaada hain toh ghar par bane facial mask ko aajmaaye. Papita, kela, avocado, shahad aur dudh se bane hue mask ko aap niymit rup se laga sakti hain. Yah twacha ko nami hi pradaan karte hain. 4 se 5 badaam ko bhigoye. Baad me unhe peeskar usme shahad milaaye. Iss paste ko chehre par 15 minute lagaaye. Fir paani se chehre ko saaf kar de.

Hoga complexion fair-
 Image result for images of girl who has fair complexion
Aksar twacha ke complexion ko lekar aap pareshaan rahti hain. Isse aapko turant rahat mil sakti hain. Iske liye aap 4 badaam ko kuch minute bhigo le fir pees le aur dudh mix karke paste banaaye. Raat ko sone se pahle face par lagaaye. Uske baad subah thande pani se dho le. Ise 15 dino tak rozaanz lagaaye. Aapki twacha ka complexion pahle se kafi behtar rahega aur twacha khili se lagegi.

Twacha na rahe bejaan-
Twacha ka rukhapan badlte mausam aur badlte taapmaan jaise karno se bad jaata hain. Aloeveera jel ko prabhavit hisso par lagaaye. Keledualla me twacha ko mulayam banaane ka tatv hote hain. Aap chahe toh iska tel use kar sakti hain. Twacha ko saaf aur toneup karne ke baad us par paani ki kuch bunde daale, Fir mulaayam tauliye se twacha sukha le. Ab moiturizer  pure badan par lagaaye. Tissue papar se atirikt misturizer hata de.

No comments: