Saturday 30 January 2016

Sahi Eyeliner lagaane ka tarika

Eyeliner aankho ki sundarta me gajab ka nikhaar laata hain, lekin ise  lagaane ka bhi ek tarika hota hain. Betartib dhang se lagaaya gaya eyeliner bahut bhadda lagta hain.
 Image result for images of girls who applying eyeliner on her eyes

Neeche ki palak par jyada lagaana
Aankho ke neeche wale hisse par jyada ya gahra eyeliner lagaane se aankhe chhoti lag sakti hain. Iske alaawa iske failne ki anshanka bhi bahut jyaada hoti hain. Yadi aap aankho ke neeche bhi kuch lagaana chahti hain toh halki pencil ya halke bhure rang ke eye shadow ka istemaal kare.
 Image result for images of girls who applying eyeliner on her eyes
Seedha aur eksaar nahi lagaana
Upari palak par eyeliner agar galat lag jaaye toh fir use makeup remover se pouchhne me bahut koft hoti hain. Liner ko seedha lagaane ke liye brush ko aankho ke kono tak tab tak na lekar jaaye, jab tak ki yeh beech me thik se na lag jaaye. Thodi ko garden ki taraf leker aaye aur aankho ko adhkhuli rakhe. Isse aap dekh paayengi ki liner ka istemaal kar rahi hain toh ise halke tirche brush se lagaaye. Aap pahle halki pencil se line bhi kheech sakti hain.

Kewal kaale aur bhure liner ka istemaal
Kai baar aankho ke neech safed liner kamaal ka kaam karta hain. Yeh aapke chehre ko tarotaaja  dikhaata hain. Safed liner lagaane ke liye neeche ki aankh ko halka -sa kheeche aur neeche ki palak aur aankho ki rim ke beech line banaye.
 Image result for images of girls who applying eyeliner on her eyes

Pencil, gel, liquid liner ko ek-sa maanna  
Agar aap jaldi me hain toh pencil liner sabse acche hote hain. Yeh jaldi lag jaate hain aur failte bhi nahi hain. Yadi aap glamorus look chahti hain toh gel eyeliner ka istemaal  kare. Liquid eyeliner gel ka hi ek tarah se advanced version hote hain. Inhe bahut dhery ke saath acchi tarah lagaana hota hain. Yadi aap eyeliner lagaana seekh rahi hain toh liquid ki bajaay gel liner ka istemaal kare.

Taknik nahi jaanna
Eyeliner ko humesha pencil ya patle aur chhote brush se lagaaye. Iske upar matching ka powder shadow bhi lagaaye taki liner der tak tika rahe.

                              BEST OF LUCK

Friday 29 January 2016

Chehre ke masse dur karne ke upay

Hum jante hain ki motape, garbhvastha, diabeties ki wajah se kai baar skin tags  asal me twacha par ativardhi hote hain. Yeh un jagaho par hote hain, jahan twacha mudti ya fold hoti hain, jaise gardan,pet,stan ke neeche, palko ke upar aur bagalo me. Halanki inse kisi tarah ka dard nahi hota, na hi yeh kisi bhi tarah ka nuksaan pahuchaate hain, lekin dekhne me bahut bure lagte hain. Kuch gharelu nushkho se aap inhe aasani se hata sakti hain.
 Image result for images of girls who having massa on the face
 Nimbu ka ras 
Nimbu me moujud acid mrit koshikaao ko hatata hain. Cotton ko nimbu ke ras me duboye aur masse par lagaaye. Kuch der baad dho le. Aisa hafte me 2 ya 3 baar kare. 2-3 hafto me massaa dheere-dheere kam hone lag jaayega.

 
Arandi ka tel
Thode  se arandi ke tel yani caster oil ko baking powder me milaker paste banaaye aur masse par lagaaye. 2 se 4 hafto tak isse lagaaye.
 Image result for images of arandi ka telImage result for images of arandi
Lahsun
Lahsun ek bahut achha antibactrial aur antifungle hain. Lahsun ki thodi-si kaliyo ko kute. Inhe masse ke upar lagaaye. Kuch din baad massa gir jaayega.
 Image result for images of garlic
Kele ka chilka
Kele ka chilka bhi massa hatane me prabhavi hain. Chilke ka chota sa tukada le, iske ander wale bhaag ko masse pe ragde. Kuch din tak har roz aisa kare.
 Image result for images of kele ka chilka
Annanaas ka Ras
Annanaas ka ras bhi masse hatane me prabhavshaali hain. Annanaas ka thoda-sa taaja ras masse par lagaaye. Thode din lagataar aisa kare. Massa chota hota chala jayega.
 Image result for images of annanaas ka ras
Pyaaj ka ras
Pyaaj ko kaat kar usme namak milakar puri raat rakhe. Subah  iss pyaaj  ka ras nikaal le. Iss ras ko masse par lagaaye. Kuch hafto me massa gayab ho jaayega.
 Image result for images of pyaz ka ras
Dental flose
Masse ke chaaro aur dental flose baandh dijiye. Aisa karne se isme khun ka pravaah ruk jaayega. Thode dino baad massa kala hoker gir jaayega. 
Image result for images of dental flossImage result for images of dental floss

Thursday 28 January 2016

Makeup bigad jaane par apnaaye kuch yeh tips


 
Kahi jana hain   aur jaldi me makeup bigad jaaye toh gabraahat ho jaati hain toh gabraaye nahi apnaaye mere dwara bataaye gaye yeh tips jo aapke liye behad kaam ke sabit hoge.
1)Blush jyaada lag gaya ho agar
kya na kare:- Make remover  ka istemaal  na kare, varna saath me compact aur foundation bhi hat jaayega aur makeup me darar dikhegi
kya kare:- step-1: Halke hath me cotton ball ko gol gol gaal par gumaaye, taki atirikt blush nikal jaaye. Cotton ball ko gol gol gumate waqt ander ki aur gaalo ke ubhaar ki taraf laaye, taki yah aapke chehre par faile nahi.
Step-2: Gaalo par blush ab bhi jyaada lag raha haintoh gaalo par powder lagaaye.
Aage se dhyaan rakhe
Humesha blush makeup ke aakhir me lagaaye, taki pura makeup karne ke baad aapko thik se pata chal sake ki aapko kitna blush lagaana hain. Iske alaawa blush ki parat ek ek karke lagaaye, ikhthha na thope.

2)Maskara fail gaya ho toh
Kya na kare.:.Palko ke sukhne ka intzaar na kare. Hataane ki prakriya shuru kare.
Kya kare:-Step-1:Maskara kuch seconds me sukh jaata hain,isliye turant action me aaye. Eyelash kanghe se chipki hui palko aur jyaada maskare ko hataaye. Palko ki jhado se shuru karke kanghe ko bahar ki tarah kare.
Step-2:Yadi aapse jyaada maskara hat gaya hain toh iska dusara kot lagaaye. Pahle palko ki jhado me lagaaye aur fir siro tak laaye.
Aage se dhayaan rakhe
Maskara 3 mahine me ek baar me acchi tarah hilaaye. Brush ko pump na kare. Isse tube me hawa bhar jaane se maskara jaldi sukhega.

3)Powder jyaada hogaya ho toh
kya na kare:-Powder ko chipaane ke liye aur makeup na lagaaye. Chehre par makeup ka paste laga hua dikhaai dega.
Step-1Hydreting facial mist ki botal chehre se 6 inch ki duri par rakhe. Aankhe band kare aur isse golakaar ghumaate hue chehre par spry kare.
Step-2Yadi aapse spry jyaada ho gaya ho aur aisa aksar ho bhi jaata hain toh tissue papar khol kar apne pure chehre par rakhe, halke haath se dabaaye. Atirikt nami nikal jaayegi aur jarurat padne par yah saari prakriya dobaara kare
Aage se dhyaan rakhe
Powder sara din baar baar na lagaaye, iski bajaay blotting paper ka istemaal kare.Sheer translusent powder lagaaye..

Wednesday 27 January 2016

Khaas mouke par yu chmkegi aapki sundarta


Image result for images of girl who applying ubtan her face

Kisi bhi khaas mouke par kare natural ubtan ka kare  istemaal
Kitni baar humare ghar me kai function aate hain toh hum jaldi jaldi me kaise bhi makeup karke tayaar ho jaate kyu na hum jaldi tyaar  hone ki bajaay 3 din pahle apne chehre ki sundar dikhaane ke liye praytan kare. 3 din me aapki twacha sundar aur chamakdaar dikhne lagegi. In ubtano me basen, neem aur haldi, chandan aadi ke gun hote hain jo twacha ko chamakdaar banate hain.
 

 1)Twacha me nikhaar ke liye chandan powder ka ubtan lagaaye. Isme besan , haldi powder, neem powder aur pisa hua kheera milaaye. 15 minute tak chehre par lagaaye.

Image result for images of girl who applying ubtan her face
2)Yadi muhaaso ki samsyaa hain toh sabse pahle gunguna pani le aur usme neem ki pattiya dale aur isse chehra dho le.

Image result for images of girl who applying ubtan her face
3)Skin ko saaf karne ke liye cornflour( makke ka aata) besan, aata aur haldi milaaye fir iska paste bana le. Isse skin par rub kare aur fir dho de. Besan ke saath shahad ka use bhi kiya ja sakta  hain. 

Image result for images of girl who applying ubtan her face Ek baar mere bataaye hue upaay jarur kare sach fir aap bhi kahegi ki aap se sundar koi nahi.

Tuesday 26 January 2016

Rukhi twacha ke liye kuch khaas


Gulabi sardi ne dastak de di hain, aise me twacha par bhi iska asar dikhne laga hain. Sardiyo me sabse badi problem chehre aur haatho par rukhapan hone se jhuriya dikhne lagti hain. Iss mausam me chehre ki kranti khone lagti hain. Aise me yadi chehre par kasavat chahti hain toh in tips ko kar sakti hain follow.

1)Shahad twacha ke liye bahut benificial hain. Iske lep se chehre aur gale par massage karni chahiye. Isse puri tarah sukhne par garam pani se saaf kare. Issse twacha me kasaav aayega aur chamakdaar banegi.

2)Do chammach soyabeen ka aata, ek bada chammach dahi aur shahad milaakar paste banaaye. Is mishran ko kuch der chehre par lagakar dho le. Isse twacha me kasavat aati hain.
                                                                                  Image result for images of girls who is applying scrub
3)Baadam, Gulaab ke phool, chironji aur pisa jayphal raat ko dudh me bheego de. Subah isse peeskar iska ubtan lagaaye. Issse chehre ke daag dhabbe mitate hain aur chehra chamakdaar banta hain.

Monday 25 January 2016

yeh he sahi natural scrub


 Image result for images of girls who is applying scrub

Scrub ko hafte 2 hafte me ek baar lagaane se mrit twacha khatam ho jati hain. isse twacha saaf banti hain.

Papita aur annanaas
In falo me paaye jaane wale anzime mrit twacha ko hatakar dul skin par glow laane ka kaam karte hain.Iss wajah se twacha ki rangat bhi nikharti hain. Papita aur annanaas se bana scrub saamanay twacha ke liye bahut accha hota hain.

Badaam aur jatun ka tel
Ghar me banaaye jaane waale scrub me agar jetun aur badaam ka tel milaya jaaye toh isse twacha saah hone ke saath use poushak tatv bhi milte hain. Scrub me in dono telo ko milaane se dry skin komal banti hain., isliye hafte me ek ya do baar scrub jarur kare.

Beri scrubs
Woh scrubs jo berries se nirmit ho, berries matlab strawberry, blueberry, ka istemaal karna jyada accha hota hain, kyunki yeh antioxidents, vitamins aur minerals se bharpur hote hain. Yeh twacha ko poushan dene ka kaam karte hain.

Yun toh baajaar me tarah-tarah ke scrub moujud hain, jinhe bas kharid kar aap aasani se twacha par laga sakte hain, par aap chaahe toh ghar par bhi aasani se scrub bana sakte hain. Yah twacha ke liye faydemand bhi hote hain.

Saturday 23 January 2016

Blush lagaate waqt rakhe chehre ke aakaar ka dhayaan






Face ke anusaar blushImage result for images of oval face girl who applying blush on the her face
Yadi aap blush ka istemaal karti hain aur apne gaalo par saamany tarah se laga leti hain, toh yeh tips aapke kaam ki ho sakti he. Iss baar blush lagaane se pahle apne chehre ke aakar ko dekhe aur fir usi ke anusaar blush ko chehre par apply kare.

Oval face
Iss prakaar ke face ko aadarsh chehra mana jaata he, kyunki iski lambaai choudai samaan hoti hain. Aap apne cheekbone par blush ko lagaayeImage result for images of oval face girl who applying blush on the her face
Round face
Round shape ke liye aapko chehre ki defination aur structure par dhyaan dena hoga.
Gaalo ko pichkaaye aur blush apply kare.Image result for images of Round face girl who applying blush on the her face

Square faceImage result for images of Square face girl who applying blush on the her face

 Square face shape ke liye aapko jawline ko thoda soft karne ki jarurat hain. Gudiya ki tarah blush paane ke liye gaalo ke aple par focus kare.

Heart  faceImage result for images of Heart face girl who applying blush on the her face
Heart face shape ke liye square shape ki tips follow karne ke baad blush ko cheekbone se thoda upar le jaiye.

Long faceImage result for images of long face girl who applying blush on the her face
Long face ke liye horizontly blush lagaaye , jisse chehre ki lambaai balance ho sake.

Friday 22 January 2016

Bina makeup ke sunder dikhne ke tarike

Aapko lagta he ki khubsurat dikhne ka bas ek hi tarika he ki makeup laga liya jaaye. Jab tak hotho par lipstic nahi hogi, aankho par liner, mascara nahi hoga, Aap khubsurat dikh nahi sakti he. Aap mane na mane, aap bina makeup ke bhi pahle se hi khubsurat he. Agar aapko ab bhi bharosa nahi he toh kuch tariko se aap bina makeup ke khubsurat dikh sakti he.

Hydreat aur chamkti aankhe
Bina makeup ke aap thaki hui si lag sakti he, lekin aisa na ho uske liye bhi ek upay he. Aankhe fuli aur udaas na dikhe, iske liya do chammach apni aankho par rakhe. Isse aankho ka fulapan kam ho jaayega. Iske alawa aap chehre par lotion laga sakti he, taki aapki twacha hydreat rahe.


Eye cream aur aapki aadate
Aapko apni twacha ko subah shaam moiturize karna jaruri he. Aankho ke liye under eye cream ka istemaal kare, isse ve laal ya fuli hui nahi dikhai dengi. Khaane peene ki aadato me badlaav laaye. Agar aap apne sharir ko ander se accha karengi to ye bahar se apneaap achha ho jaayega aur aakarshak dikhai dega.

Sunscreen aur facemask
Bhale sardi ho ya garmi ek baat ki ghanth baandh lijiye ki aapko apni twacha har waqt surkshit rakhni he, isliye sunscreen lagakarhi ghar se bahar nikle. Chehre par bina makeup ke chamak laane ke liye aap facemask bana sakti he. Iske liye aap baking soda aur nimbu ka ras ki hi jarurat hogi. Iss facemask se chehre se pimpals turant hat jaayenge. Sabse mahatvpurn baat he ki aap utna pani jarur peeye jo aapki twacha ko hydreat rakh sake. Aap chahe toh saadharan paniki jagah nimbu pani bhi le sakti he.

Gulaabi gaal
Jab bhi chehra dhoye ,thande pani se hi dhoye. Isse aap twacha ka chidr band ho jaaye aur aap tarotaaja dikhengi.

Gulaabi honth
Yadi aap apne honth saaf aur chikne banana chahti he toh aapko hontho ki mrit twacha hatani hogi. Iske liye toothbrush se honth halke halke ragade. Mrit twacha hategi toh chehra apneaap khoobsurat  lagega. Hontho ko mulayam karne ke liye malai lagaye.

Bhitri khoobsurti
Asli khoobsurti bhiter se aati he. Iss baat se koi fark nahi padta he ki aap bahar se kese dikhti he. Yadi aap apna dhyaan rakhti he, achha khati he, sabhi se achha vywhaar karti he toh aap sabko sunder dikhengi. Isliye tali bhuni cheejo se parhej kare. Breakfast karna na bhule. Dairy products, Dry fruits aur nats  khaaye.

Toner aur nimbu ka ras
Aap chehre par makeup lagaane ki bajaay toner, moiturizer, sunscreen, facewash, yaha tak ki nimbu ke ras ka istemaal kar sakti he. Yaad rakhe, agar chehre par kahi kat laga ho toh nimbu na lagaaye.
Raat ko ek baar chehre ko saaf karke soye. Agar chehra dhone ka man na kare toh cleansing milk se saaf kar le.

Ek baar mere bataaye in tariko ka use jarur kare ho sakta aapko khoobsurat dikhne ke liye cosmetic product ka jyada use na karna pade.

                                  THANK YOU