Wednesday 18 May 2016

(Part 2) Aapke baalon ke liye kuch khaas tips

Baalon ko mile paushan-
Baalon ko poushan dene ke liye dudh ki malai ka use karna chahiye. Ek katore me gulaabjal aur cream milaa kar baalon me lagbhag 30 minute ke liye rakhe. Rosewater  se baalon me shining aayegi aur cream se baalon ko nami milegi. Heena ko paste banaate waqt  usme nimbu, aanwala aur neem ka paani daale. Iss paste ko baalon me tab tak rahne de jab tak ki wah sukh na jaaye. Yah baalon ki gunvatta nikhaarta hain.

Kyu kam hote hain baal-
Aalkal baal kamjoir hone ki samsya aam ho gai hain, kyuki  shampoo, conditioner, aur yahan tak ki  hair oil bhi rasayan yukt hote  hain jo baalon ko kafi jyaada nuksaan pahuchaate hain. Aaj ke adhiktar cosmetic utpaado me hanikarak rasayan paaye jaate hain jo baalon ko kamjor karne ke saath-saath baalon se sambadhit anay samsaayo  ko janam dete hain. Baalon ko majboot banane ke liye inka upyog kam matra me kare.

Aise kare baalon ki care-
Aksar aap sone jaati hain toh baalon ko jas ka tas karke so jaati hain. Aap chahti hain ki subah soker uthne par bhi aapke baal hubsurat lage toh iske liye inn upaayo ko apnaaye. Raat ko sone se pahle baalon ko suljhakar tel lagaaye. Aur uske baad baalon ko bandh le. Baalon ko dhakkar soye. Aapke baal khubsurat dikhne ke saath-saath majbut bhi rahege saath hi baalon ki grouth bhi hogi.

Baalon me aayegi chamak-
Baalon me chemak laane ke liye kuch gharelu upaay hain jinhe istemaal karne se baal majbut aur chamakdaar banege. Eki pyaaj aur thodi si pattagobhi le. Dono ko kaddukas karke ek tambe ke bartan me raat bhar rakhe aur subah ise baalon me lagaaye. isse baal majbutaur chamakdaar honge. Aap hafte me ek baar jarur aisa kare ya aap olive oil baalon me lagaaye yah baalon ke liye tonic ka kaam karta hain..

Monday 16 May 2016

Aapke baalon ki khusurti badaane ke liye kuch khaas tips

 Image result for images of beautiful hair of girl
Baal bane khubsurat-
Maynej me badaam, jetun ka tel ya fir nariyal ka tel milaa kar  lagaaye. Fir ise baalon me 20 minute tak laga rahne de, iske baad baalon ko milde shampoo se dho le. Baalon me nahaane se pahle aloeveera ka jel lagaaye. Isse baal majbut, mote aur khubsurat ho jaayenge. Baalon ki khubsurti badaane ke liye iss tarike ko hafte me ek se do baar upyog me le. Yah baal jhadne ki samsya se chutkara bhi dega.

Baalon ke liye vitamins-
Baalon ki khubsurti me paushak tatvo ki aham bhumika hoti hain. Baalon ko chamakdaar, khubsurat aur lamba banaane ke liye vitamins behad jaruri hote hain. Vitamins ki kami ke karan baal shushk aur kamjor ho jaate hain jisse baalon ki samsaaye jaise- baal jhadna, shushk hona, dandruff-A, B, B-complex, C,D,E avam protien, iron, iodin ka use kare.

Curly hair ki dekhbhaal-
Curly hair ki dekhbhaal ke liye mayonez, and, dudh,dahi, shahad aur nimbu kuch aise hair pack hain, jo asardaar hone ke saath-saath praktrik bhi hain. Curly hair ki dekhbhaal me conditioner baazar se kharid sakti hain ya fir ise ghar par bana sakti hain. Shahad, anda, seb, sirka aur chay bhatrin praktrik conditioner hain. isse aapke baal majbut bante hain.

Baalon ke liye sirka-
Baalon me shampoo karne ke baad lagbhag ek litre paani me karib 75 mililitre sirke ka ghol taiyaar kare aur use bataur conditioner use karna chahiye. Yadi aapke baal oily hain toh sirke me nimbu ka ras milaakar baalon me lagaana chehiye. Baalon ko dhone ke baad sirka aur thoda-sa baadam ka tel milaakar scalp par acchi tarah se lagaaye. Isse  scalp me nami bhi aayegi, Dandruff ki samsaya bhi nahi hogi.
 
 

Friday 13 May 2016

(Part 13) Aapke skin ke liye kuch khaas tips

Benur na ho twacha-
 Image result for images of girl who has  lovely face
Ek chammach ande ki jardi me barabar matra me tamatar wa nimbu ras milaakar chehre par lagaaye. Isse jhuriya kam hongi. Chehre par daag-dhabbe ho gaye ho toh jayfal ko pees kar chehre par lagaaye. 15 minute tak lagaakar dho le.Jamun ke beej ke powder me gulabjal dalkar paste bana le. Ise 15 minute tak chehre par lagaaye, fir dho de. Isse jhaiya dur hongi. Isse chehre par chamak bhi bani rahti hain.

Jab fatne lage twach-
Image result for images of girl who has  fata hua face
Pudina thandak se bharpur hota hain, agar aapke chehre ki twacha fat jaaye, usme daane aur muhaase niklte ho, toh pudina sabse jyada labhkaari hota hain. Pudine ki pattiyo ko peeskar unka juice nikaal le aur use chehre par lagaaye. 15 minute ke baad chehra dho le. Iske alaawa kela bhi faydemand hain. Ise chilkar acchi tarah pees le. Paste ko chehre par lagaaye. 30 minute ke liye lagaaar chord de. Baad me gungune pani se dho le. 

Wednesday 11 May 2016

(Part 12) Aapke skin ke liye kuch khaas tips

Shahad se nikhaare apni twacha-
Shahad na sirf sehat balki chehre ke liye bhi behad upyogi hota hain. Iska istemaal niymit rup se karne se twacha chamakdaar aur komal banti hain. Chehre ko chamakdaar banaane ke liye ek chammach multani mittti, ek chammach shahad, aur ek chammach gulaabjal and ek chammach santre  ke ras ko milaakar paste taiyaar kar le. Paste ko chehre par lagaaye. Iss paste se rangat aati hain aur twacha me nami bhi bani rahti hain. Paste ko niymit istemaal kar sakti hain.

Besan lagaaye chehre par-
Chehre se daag dhabbe ko dur karne ke liye besan me thoda-sa dahi milaakar paste tayaar kar le aur use chehre par lagaaye. 10 se 15 minute tak lagaaye rakhne ke baad, chehre ko saaf pani se dho le. Isse twacha bhi saaf hogi aur daag dhabbe bhi dur honge. Aap chahe toh dudh, shahad , santre ka ras, gajar ka ras ko milaakar paste tayaar kar le aur chehre par lagaaye. Isse chehre ki gandagi saaf ho jayegi.

Dur hongi pigmentation-
Agar aapko pigmentation ki samsya hain toh taaje aloeveera jel ko daag wali jagah par aadhe ghante ke liye ya puri raat lagaaye rakhe. Agli subah gungune pani se chehra dho le. Aloeveera Pigmentation dur karne ke liye accha hota hain. Taaji cream me nimbu ka ras milaakar pigmentation wali jagah par lagaaye. Isse daag bhi dur hoga, chehre par chamak bhi aayegi Isse aapka chehra mulaayam bhi dikhega.

Jarur lagaaye sunscreen-
Sunscreen saundary badaane me madad toh nahi karti balki twacha ko dhup ki tej altra-voilet kirno se surksha jarur pradaan karti hain. Dhup se bachne ke liye har chaar ghante me sunscreen ka prayog karna jaruri hain. Agar aap iska prayog nahi karegi toh savli hone ka darr bhi rahega. Saath hi brown spot aur jhuriya bhi inhi ke karan hoti hain. Isliye jab bhi bahar jaaye toh sunscreen jarur lagaaye.

Tuesday 10 May 2016

(Part 11) Aapke skin ke liye kuch khaas tips

Muhaase honge gayab
 Image result for images of girl who has muhaase
Santre ke sukhe chhilko ko pees kar unka paste banaaye aur chehre par lagaaye. Muhaase chale jaayenge. Agar aapke paas sukhe chhilke na ho to santre ya nimbu ke geele chhilko ka istemaal bhi kar sakti hain. Kachche papeete ko kaddukas karke suti kapde se uska juice nikaale. Muhaaso par lagaaye. Yah asarkarak ilaaj  hain saath hi yah chehre ko aur bhi sunder banane  ke saath saath twacha ko bhi mulaayam rakhta hain.

santere se bana facepack laye chamak
 Image result for images of orange
Ek bada chammach santre ka ras aur ek bada chammach nimbu ka ras le. Ise 15 minute tak chehre par lagaaye rakhe aur fir geele tissue se pauch le. Chehre par chamak aa jaayegi. Kheere ka ras, gulaab jal aur glycerin milaaye aur chehre par lagaaye. Chehra nikhar jaayega. Ise ikhtta banaakar freeze me bhi rakh sakte hain.

Light hoga makeup
 Image result for images of who has light makeup
Agar aap kisi party me ja rahi hain toh makeup karne se pahle moisture facepack jarur lagaaye. Iske liye papita aur shahad  ko mix kar dudh aur badaam milaakar paste banaaye. Skin ko mulaayam aur moisture banaane ke liye face par yah pack jarur lagaaye. Dudh me antioxidents, vitamin B aur kai paushak  tatv paaye jaate hain, jo twacha ke liye bahut hi faydemand hote hain. Aapka makeup jaldi light nahi honga.

Til hataaye iss tarah
 Image result for images of girl who has til on face
Fulgobhi ka ghar me ras tayaar kare aur roz til wali jagah par lagaaye. Isse kuch hi dino me puraani twacha dheere-dheere saaf hone lagegi aur til gayab ho jaayega . Lahsun ke paste ko roz raat me sone se pahle  til par lagaaye aur paste lagaane ke baad us sthaan par bandage laga kar chord de. Subah us twacha ko halke garam pani se dho le. Kuch dino tak iss prakriya ko dauhraane se chehre ke til saaf ho jaate hain.

Thursday 5 May 2016

(Part 10) Aapke skin ke liye khuchh khaas tips

Lagaaye tamaatar se bana bleach-
 Image result for images of tomato bleach
Tamaatar har ghar me hota hi yah ek accha praktrik bleach mana jaata hain. Tamaatar ko tukde me kaat le inn tukdo ko chehre par ragde. Thodi der baad chehre ko dho de. Yah na kewal chehre me chamak laata hain balki blackhads ko bhi dur karta hain. Haldi me thoda sa nimbu ka ras milaakar lagaaye. Paste sukhne ke baad thnde paani se chehra dho le. Haldi praktrik bleach hota hain jo chehre ko naram banaata hain.

Dur ho aise rukhaapan-
 Image result for images of girl who has dry skin
Agar aapki twacha me rukhapan jyaada hain toh ghar par bane facial mask ko aajmaaye. Papita, kela, avocado, shahad aur dudh se bane hue mask ko aap niymit rup se laga sakti hain. Yah twacha ko nami hi pradaan karte hain. 4 se 5 badaam ko bhigoye. Baad me unhe peeskar usme shahad milaaye. Iss paste ko chehre par 15 minute lagaaye. Fir paani se chehre ko saaf kar de.

Hoga complexion fair-
 Image result for images of girl who has fair complexion
Aksar twacha ke complexion ko lekar aap pareshaan rahti hain. Isse aapko turant rahat mil sakti hain. Iske liye aap 4 badaam ko kuch minute bhigo le fir pees le aur dudh mix karke paste banaaye. Raat ko sone se pahle face par lagaaye. Uske baad subah thande pani se dho le. Ise 15 dino tak rozaanz lagaaye. Aapki twacha ka complexion pahle se kafi behtar rahega aur twacha khili se lagegi.

Twacha na rahe bejaan-
Twacha ka rukhapan badlte mausam aur badlte taapmaan jaise karno se bad jaata hain. Aloeveera jel ko prabhavit hisso par lagaaye. Keledualla me twacha ko mulayam banaane ka tatv hote hain. Aap chahe toh iska tel use kar sakti hain. Twacha ko saaf aur toneup karne ke baad us par paani ki kuch bunde daale, Fir mulaayam tauliye se twacha sukha le. Ab moiturizer  pure badan par lagaaye. Tissue papar se atirikt misturizer hata de.

Tuesday 3 May 2016

(Part 9) Aapke skin ke liye kuch khaas tips

Image result for images of girl who applying bleach
Bleach na pahuchae nuksaan-
Bleach har kisi ke chehre ke liye upyukt nahi hoti. Iss rasayan ko apne chehre par lagaane se pahle yah jaanch le ki aapki skin kis type ki hain. Agar ise lagaate hi chehre par tej jalne ka ahsaas ya khujli machne lage toh samajh jaaye ki yah aapko react kar gai hain. Bleach me mercury hoti hain jise hume puri tarah se nakarna  chahiye  ya fir uska prayog bahut hi kam karna chahiye.

Skin banegi tight-
 
Pattagobhi ki 2-3 pattiyo ko pees kar usme 2 chammach chaval ka aata mix kare. Fir usme baadam ya olive oil daal kar chehre par lagaaye. Agar chehra oily hain toh pack me tel na milaaye. Pattagobhi ki pattiya chehre se jhuriya mitati hain. Pattagobhi ki pattiyo ka paste banakar usme dahi aur shahad milaaye. Agar skin dry hain toh usme badaam ya olive oil milaaye. Gungune pani se chehra dho le.

Jab hatana ho kajal-
 Image result for images of girl who removing kajal
Aap jaldi me hain toh chehre ko facewash se dhoye aur aankho ke neeche sabun ke jhaag se mal kar dhoye. Iske alaava aap scrub ka bhi prayog kar ke kajal ko chhuda sakti hain. Aankho ke neeche vesline lagaaye aur fir kajal ko cotten se saaf kar le. Kajal chudana ho toh chehre par cleansing milk laga kar chehre aur aankho ke aas-paas masaage kijiye. Kajal bhi saaf ho jaayega ar chehra bhi.

Twacha ko de nami-
 Image result for images of girl who has nami wali skin
Nahane se pahle twacha ko prayapt rup se saaf karne ke liye paani me khas-khas , namak mila le. Ise apsome salt bhi kaha jaata hain. Yah kisi bhi medicle store par aasani se mil jaata hain.Iske atirikt nahaane se pahle body oil se massage jarur kare aur nahaane ke baad sharir ko ragadkar na pouchhe. Sharir ko taouliye se thap thapa kar sukhana chahiye. Isse aapki twacha nam rahti hain.

Monday 2 May 2016

Photo khichwane se pahle kaisa ho aapka look

 Image result for images of a girl who is taking selfie
Photo humaari life ki sabse bada shouk hota hain. kisi ke liye photo khichvana ek passion hota hain. Hum kahi bhi jaate hain ghumne firne ya wedding party me jaate hain toh aapko khub selfies aur tasveere khichvani hongi, isliye jaruri hain ki aap function me iss tarah se taiyaar hoker jaaye ki photo me acchi dikhe. Iske liye aapko na sirf  apne pahnaave par balki makeup par bhi dhyaan dena chahiye. Hum aapko ek makeup batane ja rahe hain jiska naam hain " Camera ready makeup" jo aap photo khichvane se pahle apply karna chahiye.

Yadi aapko pahle se pata hain ki camere ka samana karna hain toh aapka makeup  samaanay  ke  mukable thoda heavy hona chahiye .

Light makeup aamtaur par aamne-samne toh thik lagta hain, lekin jab baat camere ke saamne aane ki hoto light makeup dhudala naja aane lagta hain.

Yadi aap koi makeup nahi karti toh moisturizer se kaam chala sakti hain. Rutin makeup me aapko conseller, maskara, light brush aur chapstick ka istemaal karna chahiye.

Photoshoot ke liye taiyaar hone me aapko foundation/conseller, blush ke saath branzer, finishing powder, eyebrows field, eyeshadow, eyeliner, maskara, falls lashes aur lipstick ka use karna chahiye.