Monday 29 February 2016

Dark circles hone ke karan


 Image result for images of girls who has dark circles

Hum jaante hain ki dark circles humaari chehre ki sundarta ko kam kar deta hain. Dark circles chehre ke liye ek abhisharp ki tarah hain. Humaari busy life me kai baar hum apne life me hone wali gatividhi ka dhyaan nahi rakh paate hain or kai galtiya kar jaate hain jo ek bada karan hain humaare dark circle hone ka toh aaiye jaante hain kya kya main kaaran hote hain dark circles hone ka yah jaankar hum dhayaan rakh sakte hain ki dark circle na ho.
Umar
Jaise-jaise humaari umar badti jaati hain, aankho ke neeche ki vasa dhili pad jaati hain. Yah ya toh ful jaati hain ya fir neeche ki taraf khisak jaati hain. Isse aankho ke chaaro aur ek chhaya padne lagti hain. Iska ilaaj adhiktar charm rog vishesyagy restileen jaise hialuronik acid se filing karke karte hain. Iska asar 9 mahine se lakar 1 saal tak rahta hain.

Khun ki naliyan
Samay ke saath-saath aankho ke neeche ki twacha patli hone lagti hain, jisse twacha ke neeche moujud laal-bangani khun ki naliya najar aane lagti hain. Isse bhi aankho ke chaaro aur ki twacha ka rang baaki chehre se alag najar aata hain. Retinaal yukt eyecreame se colejan ka utpaadan badne lagta hain aur twacha moti hain, Isse khun ki naliya kam dikhaai deti hain. Leisur se  bhi iska ilaaj ho sakta hain.

Jenetics
Aapki twacha ka rang bhi dark circles ki vajah banta hain. Twacha ka rang aapke jeans se tay hota hain. Yadi twacha ka rang saanvala  hain toh aankho ke chaaro  aur ki twacha  ka rang kam badalta hain, yani gore hone par dark circles jyaada hote hain. Haalanki leaisur therpy se aap inhe hatwa sakti hain.

Alergy
Jab aankhe fuli hui hoti hain toh bhi sujan ek chhaya paida karti hain, Jisse aankho ka chaaro aur ki twacha kali kagti hain. Isse liye alergy ke mausam me doctor ki salaah se antitheestamin le.

Inn aadato se ho jaate hain aur gahre
 Sunscreen na lagaana
Aankho ke chaaro ki twacha par patli hone ke karan suraj ki kirno ka sabse bura prabhaav padta hain. Yah ki twacha kai sunscreen ke prati sanvedansheel bhi hoti hain isliye apni twacha ke mutaabik sunscreen ka chunaav kare aur use acchi tarah se lagaaye.

Acche makeup remover ke use nahi karna
Yadi aap apni aankho ke chaaro aur ki twacha ko ragadti hain toh twacha ki capilari nasht ho jaati hain aur ghaav bhi ho sakte hain. Isliye acche cleansing oil ka istemaal kare. jo aankho ke makeup ko bagair kisi ragad ka hata de.

Garam pani ka use
Bahut-si mahilaaye garm pani se chehra dhoti hain. Isse aankhe aur ful jaati hain aur dark circles badte hain. Aisa hi asar hot steam ka bhi padta hain isliye chehra humesha gungune pani se dhoye. 

Friday 26 February 2016

Baalo ki chamak badaane ke liye yeh khaaye

Khubsurat ghane baal chahti hain toh kuch cheeze apne khaane me shaamil kare, na keval aapke baal khush honge, balki aapke naakhun bhi aapko shukriya kahenge. Asal me dono hi kiretin se bane hote hote hain aur inki sahi badat ke liye sahi poushan khaane me shaamil karna jaruri hain.

Dudh
 Image result for images of milk
Bahut se shoudh sabit kar chuke hain ki iron zink, biotin aur protin ki kami se baal jhadne lagte hain. Iron ki kami se naakhun bhi kamjor hokar tutne lagte hain isliye aap aisa khaana chune, jinme yeh sari cheeze bharpur matra me ho. Aise me dudh kaam ka sabit ho sakta hain. Dudh protin, iron, calcium, vitamin d aur biotinse bharpur hota hain, jo baalo ko mulayam aur majbut banaate hain.

Hari sabjiyaa
 Image result for images of green vegetable
Palak aur anay hari sabjiyaa vitamin c aur A se bharpur hoti hain. Yeh dono colejen ke utpaadan me mahatvpurn bhumikaa nibhaate hain. Colejan khun ki naliyo ke nirmaan aur unki majbuti me sahayak hota hain. Vitamin C iron ke avsoushan me mahatvpurn bhumika nibhaata hain aur vitamin A baalon ki lambai badaane me madad karta hain. Vitamin C sir ki twacha ki sehat bhi banaaye rakhta hain.

Peeli aur naarangi sabjiyaa
 Image result for images of gajar kaddu shakarkandImage result for images of gajar kaddu shakarkandImage result for images of shakarkand
Gajar, kaddu aur shalarkand khaane se naakhun aur baalo me chamak aati hain.
Yeh antioxidents beetacarotin se bharpur hote hain, aur swasth twacha ka nirmaan karta hain. Inhe khaaiye, aapke naakhun kabhi nahi tuteange.

Pani
 Sharir me pani ki matra baalo aur naakhuno ke liye bhi utni hi mahatvpurn hain. Din me kam se kam 8 gilaas pani peeye, aapka sharir bhi swasth rahega. Iske alaava pani saare poushak tatvo ko naakhun aur baalo ki jhado tak le jaane me madad karta hain.

Thursday 25 February 2016

Pani badaaye aapke sharir ki chamak


 Image result for images of woman drinking water

Doctor's hamesha yah salaah dete hain ki din me 8 se 10 gilaas pani peena ek saamanay manushay ke liye laabhprad hota hain, kyuki isse sharir ke vishele tatv bahar nikalte hain.


Pani hamaare sharir me limf system ko sahi rakhta hain. Yeh gelands hamaare sharir ke rozana ke karypranaali ko behtar aur sharir ke taral padartho ka balance bhi banaye rakhti hain.

Pani se twacha aur bhi jyada glowing bhi banti hain subah-subah pani peene se pani sharir me moujud vishele tatvo ko bahar nikaalne ka kaam karta hain. Jisse hamaara pachan tantra sahi tarike se kaam karta hain.

Pani vajan kam karne me bhi kafi madad karta hain. Subah-subah 16 ons ke karib thanda pani peene se aapka metabolism 24 fisdi tak bad jaata hain. Jisse aap apne ko urjaa se bhara huaa mahsus karenge.

Subah pani peene se yah sharir me naye blood aur masals cells ke prodution ko aur bhi jyaada badaata hain.

Khaali pet subah pani se yah colan ke purification ka kaam karta hain, jisse sharir me poushak tatvo ka avsoshan badta hain.

Subah-subah uthkar khaali pet pani peene se aise bahut sare fayde hote hain, jinki badoulat ham pure din ya kahehamesha swasth rah sakte hain, saath hi sharir bhi hamesha fit najar aata hain.

Tuesday 23 February 2016

Neem ke labhdaayak upyog



Image result for images of neem

Kahte hain jis ghar me neem ka ek pad hain. Waha se bahut sari bimaariya toh khud b khud hi dur ho jati hain. Neem se jude chote-chote nushkhe jinhe apnaakar hum bimaariyo se kafi had tak chutkaara pa sakte hain.

Neem ke yun toh dhero laabh hain. Neem ki pattiyo ka lap har prakaar ke charm rog ko dur karta hain. Neem ki pattiyo ko pees kar use chehre par lap karne se funsiya aur muhaase mit jaate hain.

Neem ka daatun karne se daant chamakdaar aur masude swasth hote hain. Neem ki pattiyo ka ras peene se khun saaf hota hain aur chehre ki kranti badti hain. Do bhag neem ki pattiyo ka ras aur 1 bhag shahad milaakar peene se piliya rog me kafi fayda hota hain.

Neem ki sukhi pattiyo ko jalaane se utpaan dhuye se machhar bhag jaate hain.

Neem ke hare patte avam kali mirch ko lagbhag 10 dino tak faakne se jhukaam wa kaf dur ho jaata hain.

Neem ki chhaal me aise gun hote hain hain jo daanto aur masudho me lagne bactriyas ko panpne nahi dete.

Yunani chiktsa ke anusaar neem ki taasir bahut garm tatha khushk hoti hain.

Pet sambandhi anek samsyayo se nijaat pani me bhi neem sahaayak hota hain.

Neem ke phulo ko garm pani me masalkar wa chhaankar sote samay peene se kabj dur hoti hai.
Neem ki pattiyo ko sukhaakar shaakkar se khaane sedast me aaram milta hain.

Monday 22 February 2016

Sharir ke liye vardaan hain multaani





 Image result for images of multani mitti

Kya aap jaante hain beauty aur health dono ke liye multaani mittti prabhavi hoti hain. Ise chehre par lagaane se rangat nikharti hain aur baalo me prayog karne se baal ghane wa mulayam hote hain. Yah twacha sambandhi rogo ko dur kar blood cerculation thik karti hain.

Baalon ke liyeImage result for images of long hair of girls
1) Rukhe baalo ke liye 4 chammach multani mittti ke saath 1/4 cup dahi, 2 chammach shahad milaakar baalon par lagaaye baal mulaayam baneange.
2) Multaani mittti ko 4 ghante tak bhigokar usme reetha powder milaaye. Iss paste ko baalon me lagaane se teliya baalon ki samsya dur hoti hain.
Dhyaan rahe- multaani mittti ko baalon me 10 minute se jyaada na lagaaye.

Teliya twacha ke liye
 Image result for images of oily skin of girls
1) Oily skin wale logo ko mittti me dahi wa pudine ki patttiyo ka powder milaakar lagaana chahiye. Gulaab jal wa multaani mitti milaakar bhi chehre par lagaai ja sakti hain.
2) Agar chehre par pimpels ho gaye ho toh mittti me sukhi neem ki patttiya milaakar lagaaye.

Garmiyo me faydemand
Sunburn hone par multaani mittti ko gulaab jal ya tamatar ke ras me milaakar lagaaye
Isse neem ke pani me bhigokat lap karne se ghamoriya khatam hoti hain.


Friday 19 February 2016

Double chin ko chhipaane ke liye upaay


 Image result for images of who girl has double chin

Humne dekha hain aksar bahut si mahilaao ki double chin hoti hain jo iss karan kahi bhi jaati h toh thodi sharam or jijhak mahsus karti hain yadi aap apni double chin se pareshaan hain, toh isse nijaat paane ke liye aapko  apne aahaar aur kasrat par dhayaan dena hoga. Ise dur karne ka sahi tarika yahi hain ki aap cailories burn kare. Yadi aap jaldi me hain aur aap jaldi me hain aur aapko isse aapko liye tips-
Chin ke nichle hisse ko makeup ke dauraan thoda dark rakhe. Garden ke colour se bhi ise match kare.

Gale ya aankho ko jyaada ubhaare. Makeup me in par jyaada dhyaan de. Isse logo ka dhyaan chin se hat sakta hain aur  chehra sunder dikhne lagta hain.

Iske alaawa jawline par dhyaan dijiye. Makeup ke jariye yadi inhe ubhara jaaye toh bhi double chin par dhyaan nahi jaata.

Gale me koi jewellery pahne. Neckless ya fir chain logo ka double chin se dhyaan hata sakti hain.

Kapdo par khaas dhyaan de.Neckline ka iss par  kaafi asar  padta hain. Chouda gala ya v-neck double chin ko chipaane me kargaar sabit ho sakta hain. or makeup se aapka chehra fit najar aayega.   

Thursday 18 February 2016

Aaloo ka use kare baalo ki sundarta badaane ke liye


 Image result for images of potato

Aap or hum jaante hain ki aaloo ka use hum sirf khaane ke liye karte par kya aap jaante hain aaloo ka use hum apne baalo ki sundarta badaane ke liye bhi kar sakte hain. Yadi aap baalo ki dekhbhaal karna chahti hain toh aaloo isme kafi madadgaar ho sakta hain. Iska istemaal sirf khaane ke liye hi nahi, balki saundary ko nikhaarne wali samagri ke rup me bhi kiya jaata hain. Jaante hain kis tarah  aaloo baalo ke liye faydemand saabit ho sakta hain.

Ek aaloo lijiye. Ise kasiye aur iska pani nikaal kar ek bowl me rakh lijiye. Isme anda aur dahi milaaiye aur acche se mix kar fine pack bana lijiye fir ise baalo ki jhado me lagaiye. 20 minute baad dho dho lijiye. Baal chamkne lageange.

Aaloo ko chhiliye. El pan me thoda pani lijiye ise 20 minute tak ubaaliye fir iss pani ko nikaal lijiye aur iska use baal dhone me kijiye. Baal natural rup se kaale rahenge.

Yadi baal girte hain toh iss samsya ko dur karne ke liye 3 chammach aaloo ka ras, 3 chammach aloveera aur ek chammach shahad ka lap banaiye. Iss lap ko baalo ki jhado me lagakar 2 ghante chord dijiye aisa week me 2 baar kare. iss tarah aap apni baalo ki suraksha aaloo se kar paayenge toh chaliye aaj se aap apne baalo ke liye aaloo ka use karna shuru kar de ho sakta aapke bejaan baalo me nayi chamak aa jaaye.

THANK YOU
PLZ GIVE COMMENTS.