Thursday 7 April 2016

Aapke skin ke liye kuch khaas tips

Friends, aaj hum aapko aapke  skin ke liye khaas baat batane ja rahe hain, jisme aapko skin sambandhi kuch baate batayenge jo aapke liye khaas hogi.

Na lagaaye fairness cream-
 Image result for images of girl who applying natural cream
 Aaj har ladka aur ladki chehre ki sundarta nikharne ke liye kai tarah ki fairness cream ka istemaal karte hain, bina yah jaane ki yah kis prakaar kaary karti hain. Jyadatar  fairness cream me stayride ki adhik matra hone se yah twacha par dipigmentation karta hain jisse kala rang kam hone lagta hain. Yah ek tarah ka side effect hain lekin fairness cream ise effect ki tarah istemaal karti hain.

Laaye praktik nikhaar-
Image result for images of girl who applying fairness cream

Strawberry twacha ko chamakdaar banaati hain. Ise acche se mash kar lagbhag 1/2 ghante tak lagaaye rakhne ke baad chehre par freashness aati hain aur chehra khila huaa sa lagta hain. Kela ek shandaar moisturizer hain. Jetun ke tel ke saath isko milaakar lagaane se chehre par rukhapan nahi aata. Yah vitamin yukt hota hain jo twacha ke liye bahut labhdayak hota hain.

Bleach na pahuchaaye nuksaan-
 Image result for images of girl who applying  bleach cream

Bleach har kisi ke chehre ke liye upyukt nahi hoti. Iss rasayan ko apne chehre par lagaane se pahle yah jaanch le ki aapki skin kis type ki hain Agar ise lagaate hi chehre par tej jalne ka ahsaas ya khujli machne lage toh samaj jaaye  ki yah aapko react kar gai hain. Bleach me markary hoti hain jise hume puri tarah se nakarna chahiye ya fir uska pryog bhut hi kam karna chahiye.

Skin banegi tight-
 Image result for images of girl who has tight skin
 Pattagobhi ki 2 3 pattiyo ko pees kar usme 2 chammach chaval ka aata mix kare. Fir usme badaam ya olive oil daal kar chehre par lagaaye. Agar chehra oily hain toh pack me tel na milaaye. Pattagobhi ki pattiya chehre se jhuriya mitati hain. Pattagobhi ki pattiyo ka paste bana kar usme dahi aur shahad milaaye. Agar skin dry hain toh usme badam ya olive oil milaaye. Gungune pani se chehra dho le.

No comments: