Saturday 30 April 2016

(Part 8) Aapke skin ke liye kuch khaas tips

Makeup karne se pahle chehre par ragde barf-
 Image result for images of ice
Chehre par thoda-sa barf ka tukda ragdne se twacha swasth, chamakdaar aur sunder ban jaati hain. Agar aap kisi diner party me ja rahi hain aur aapke paas makeup lagaane ka samay na ho toh, aap chehre  par barf ragad sakti hain. Twacha se sunburn aur muhaase hatane ke liye bajaar me milne wali cream ka nahi, balki barf ke tukdo ka use kare. Yah garmiyo me twacha ke liye faydemand hoti hain.

Chamak badaaye kaala namak-
 Image result for images of black salt
Twacha rukhi hain aur bahut khujli ho rahi hain toh kale namak ke pani se nahana fayda pahuchayega. Kala namak jyadatar saabun, mask toner aur cleanser aadi banane me use kiya jaata hain. Kala namak twacha ke rome chhidro ko saaf karta hain, jisse twacha andar se saaf hoti hain aur porse me bacteria nahi panap paata hain. Ek chammach barik kala namak aur ek chammach olive oil ka paste banaaye aur usse chehre par scrub kare.

Na lagaaye fairness cream-
 Image result for images of fairness cream without any name
Aaj har ladka aur ladki chehre ki sundarta nikharne ke liye kai tarah ki fairness cream ka use  karte hain, bina yeh jaane ki yah kis prakaar kary karti hain. Jyadatar fairness cream me styroid ki adhik matra hone se yah twacha par Dee-pigmentation karta hain jisse kala rang kam hone lagta hain. Yah ek tarah ka side effect ki tarah use karti hain.

Strawberry laye praktrik nikhaar-
 Image result for images of strawberry
Strawberry twacha ko chamakdaar banaati hain. ise acche se mash kar lagbhag aadhe ghante tak lagaaye rakhne ke baad chehre par freashness aati hain aur chehra khila huaa sa  lagta hain. kela ek shandaar moisturizer hain. Jetun ke tel ke saath isko milaakar  lagaane se chehre par rukhapan nahi aata. Yah vitamin yukt hota hain jo twacha ke liye bahut labhdayak hota hain.   

No comments: