Wednesday 13 April 2016

(Part 4) Aapke skin ke liye kuch khaas

Natural beauty ke liye aloveera facial-
 Image result for images of girl who having aloe vera facial
Aap  Sabhi khud me humesha natural beauty chahti hain. Isliye to ghar par hi aloeveera facial pack lagaaye. Aloeveera ke ander upsthith jel se twacha me nikhaar aata hain. Market me bhi aloeveera jel aasani se mil jaayega. Isse twacha sambadhit bimaariya nahi hoti hain. Isse pimple bhi thik ho jaate hain. Yah skin ko moisturize karta hain. Aloeveera ko anti aging ke liye bhi jaana jata hain.

Gulaabjal hain nikhrti twacha ke liye khaas-
 Image result for images of girl who using rosewater for her face
Gulaabjal twacha me nikhaar laane ke liye behad jaruri cheez hain. Iske use se twacha me nikhaar aata hain. Sone se pahle dudh me kuch bunde gulaabjal ki milaakar cotton se chehre, garden aur dono haathon ki twacha ko acchi tarah se saaf kare. Twacha par chamak aayegi, Saath hi saath twacha par jami din bhar ki dhul-mitti saaf ho jaayegi. Aap ise rojaana use karengi toh twacha ke daag-dhabbe bhi dur ho jaayenge.

Rakhe apni khubsurti ka dhyaan-
 Image result for images of girl who using night cream for her face
Twacha khili-khili dikhe iske liye raat me ek acchi night cream lagaaye. Cream aisi ho jo pigmentetion, Baarik lakiro ko kam karne me madad kare. Beauty products ko thande, sukhe aur andhere sthaan dhup, nami aur aanch se dur rakhe. Agar aapke paas cream ka bada jaar hain toh surkshit rakhne ke liye apni jarurat  bhar  ki cream nikaal kar ek chhote container me rakhe.

Chanden mitaaye daag-dhabbe-
 Image result for images of girl who using chanden for her face
Chehre par keel muhaaso ke baad daag dhabbe rah jaate hain toh unhe chanden ke lap se saaf kiya ja sakta hain. Chanden ka lap keel muhaaso ko hi thik nahi karta, balki skin ki saaf aur nami pradaan karta hain. Aadha chammach haldi powder, ek chammach chanden powder milaakar paste taiyaar kar le. Ise kam se kam 15-20 minute lagaaye aur fir chehre ko saaf kar le. Isse chehre ke daag-dhabbe saaf ho jaate hain.

No comments: