Tuesday 12 April 2016

(Part 4 ) Aapke skin ke liye kuch khaas





Chehre ki thakaan mitaye aise-Image result for images of thakaan bhara chehra of girl
 Twacha ki thakaan mitaane aur use glowing banaane ke liye highdreting mask ka use kiya jaa sakta hain. Ek katore me dahi ya malai le, usme nimbu ke ras ki kuch bunde, jaayfal powder aur haldi powder daale. Iss mishran ko apne chehre aur garden par lagaaye aur ise 5 se 10 minute rahne de. Sukhne par ise paani ke saath ragadkar nikaale aur twacha ko healthyrakhne ke liye turant gulaabjal lagaaye.

Paani se nikhaare twacha
 Image result for images of water
Yeh sabhi jaante hain thand ke mausam me sabhi garam paani ka shawer le lete hain. Jo accha to lagta hain, lekin isse aapki skin kharaab bhi ho sakti hain. Garam paani aapki twacha se natural oil nikaal deti hain. Jisse aapki twacha glow dikhne ki bajaay aur dull ho jaati hain. Glow skin ke liye humesha halke gungune paani ka use kare. Isse aapki skin me behtarin nikhaar aayegaa.

Yeh pack hain behad asardaar-
 Image result for images of who applying honey mask packImage result for images of who applying honey mask pack
Yah honey face pack skin ke liye bahut hi faydemand hota hain. Saptaah me ek baar shahad lekar hatho se chehre par ragde. Puri twacha par faila kar lagaaye. Uske baad ise 5 se 10 minute tak sukhne ke liye chord de. Aap chahe toh ek chammach shahad aur coffee milaakar twacha par laga sakti hain. Iske baad halke garm paani se chehre ko dhoye. Isse chehre par  nikhaar aayega aur yah moisturizing ke liye bhi accha hain.

Chehre ke daag dhabbe mitaye iss tarah-
 Image result for images of who girl has kaale daag dhabbe
Chehre ke kaale daag-dhabbo ko mitaane ke liye tamatar ke ras me rui bhigokar daag par ragde. Kaale dhabbe saaf ho jaayenge. Rojaana subah ek glass tamatar ke ras me namak, jeera, kalimirch milaakar peeye. Chehre par nariyal pani lagaaye. Aaloo ubaal kar chilke cheel le aue iske chhilko ko chehre par ragde, muhaase thik ho jaayenge. Nimbu ka tukda ragadne se bhi kaale daag halke ho jaate hain.

No comments: