Monday 4 April 2016

Lahsun h humare swasthy aur sundarta ke liye jaruri

Lahsun ke baare me aap acchi tarike se jaante hain ki hum isse khaane ke liye use karte jo humare swasthy ke liye jaruri hain par kya aap jaante hain lahsun swasthy ke saath saath humaari sundarta ke liye bhi jaruri hain. Lahsun ke aushdhiy guno se aap sabhi log parichit hain, lahsun khaane ko swadisht banane ke saath saath rozana iska sewan twacha ko aakarshak banata hain.

Image result for images of lahsun
 Saundary
Lahsun accha antioxidents hain, jo aapki aging ko rokta hain. Lahsun ki do kaliyo ko peeskar isme haldi milaaye. Paste ko muhaaso par  lagaaye . Muhaanse saaf ho jayenge. Yah baalo ko kala karne me bhi madad karta hain. Iske liye aap lahsun ki paanch kaliyo ko peeskar shahad me milaakar rojana lagaaye.

Swasthy
Iske alaawa lahsun khansi-jukaam ko bhi thik karne me madad karta hain. Lahsun roj khaane se blood preshur sahi rahta hain. dil sambandhi bimariyo ki shikayat nahi hoti hain. Isse acidity ki shikayat bhi kam ho jaati hain. Lahsun ka niymit istemaal karne se paseene ki gandh me badlaav tabhi hota hain. jab lahsun ka paryapt sevan kiya jaaye.

Mahilaao ke liye accha
Mahilaao ke liye bhi labhdayak hota hain. Isse navjaat shishu apni ma ke dudh ka adhik teji se paan karte hain. Jo navjaat ke swasthy ke liye bhi faydemand hota hain.

Lahsun ki kacchi kaliyo ka sevan karne se humaari sundarta, sehat aur khan-paan ke saath-saath paseene ki gandh bhi dur hoti hain. Lahsun ki ek nahi, kai khubiya hain. Yah aapke swasthy ke liye kafi accha hain.

No comments: