Friday 29 July 2016

Dur ho jaayegi skin taning

Garmiyo me tening ki samsya kafi aam hain aur  aapka isse bachna  takriban namumkin sa hain lekin khaas baat toh yah hain ki ise aasani se dur bhi kiya jaata hain. Garmi me ghar se bahar niklne ka man hi nahi karta. Lekin Garmi ho ya sardi kaam toh karna Hi padega.
 Tanning Problems Pimples


Tips:- Subah 10 se shaam 4 baje ke beech ghar se bahar na nikle.
Agar ghar se nikalna hi pad raha hain toh khule bhaag ko scarf se dhake ya fir chhate ka istemaal kare.
Bahar niklne se 20-30 minute pahle hi suncreen lagaaye.
Sharir ka jo hissa khula rahta hain, us par chachh lagaaye. Chhachh se dhup se hone vali jalan se chutkara milega aur tening ka prabhav bhi kam hoga. Dahi aur chhachh praktrik rup se bleech ka kaam karte hain.
Tening ko ghar me bane scrub pack se bhi dur kiya ja sakta hain. Iske liye ek chhota chammach dudh me 2 chammach otmeal, thoda sa santre ka guda aur khakhas milaaye. Ise pees kar ghada paste banaaye. Chehre aur garden par lagaakar sukhne ke liye chord de. Jab adhaa sukh jaaye toh anguliyo ki madad se scrub kare.
Iske alava face pack bhi tening dur kar sakta hain face pack banane ke liye 2 paki strawberries le. Isme ek chhota chammach shahad daale aur mishran ko chammach ki madad se pees le.. Ise chehre par lagaakar sukhne ke liye chord de. Strawberries tening hatati hain toh shahad twacha ko mulayambanata hain.

Pack:-Jau ka pack- Iss pack ko banane ke liye 30 gram aur 20 gram khaskhas le. Iska powder banaakar isme nimbu ka ras aur gulaab jal milaakar paste tayaar kar le. Iss paste ko chehre par aadhe ghante tal lagaakar chord de. Fir thande paani se chehra dho le.

Fruit pack:- Iss pack ko banane ke liye 10 gram kishmish aur 2 kaaju le. Iske baad 50 ml chay se bane kaade me bhigokar kuch der ke liye chord de. Fir use peeskar paste bana le aur  isme papite ka pulp daalkar chehre par laga le.

Orange pack:-Santre ko sukhakar uska powder bana le. Fir ek chammach santre ka powder le aur usme ek chammach dahi, multaani mitti aur chandan paste daale. fir thoda sa paani milaakar paste bana le. Iss paste ko chehre par laga kar 20 minute baad thande paani se dho le.
 

No comments: