Thursday 21 July 2016

Haatho ko banaye khubsurat kuch iss tarah

Hello friends,
Image result for images of beautiful hands of girl
 Aaj hum aapko aapke haatho ki sundarata  ko badaane ke liye acchi baate batane ja rahe hain jo aapke liye kafi laabhdayak rahti hain.  
 H um jaante hain ki humaare haath humaare sharir ke baaki parts ki bajaay jyaada rukhe rahte hain. Haathon ki back side skin kaafi patli hoti hain. Isme taliy granthi bhi apekshakrit kam hoti hain. Aksar dekhne me aata hain ki housewives baar-baar sabun aur deterjent ka use karti hain, Jisse haathon ki twacha ko ataydhik nuksaan pahuchta hain aur we rukhe ho jaate hain. Aise me haathon ki jyaada dekhbhaal karni chahiye, tho chaliye hum jaante hain ki kis  tarah hum apne haathon ki sundarta bakrar rakh sakte hain.

Haathon ki nami banaaye rakhne ke liye kapde dhote hue rabad ke dastaane pahnane chahiye. Yeh medical shop par aasaani se mil jaate hain.

Nahaate samay haatho ka khaas dhyaan rakhna chahiye. Nahaane se pahle haatho aur paavo par oil ki maalish kare. Iske liye aap til ya fir jetun ka tel use me la sakti hain.  

Paramparagat taur par besan, dahi aur haldi ka paste bhi use me laaya ja sakta hain. Aap iss paste ko 20 minute tak lagaakar ise halke se khurach dijiye aur baad me taaje paani se nahaiye. Iss prakriya ko hafte me 2-3 baar use me laaiye. Yadi aapki skin shushk aur saanvli hain toh 2 chammach surajmukhi tel, 2 chammach nimbu ka ras aur ek chammach khurdari chini ka paste 15 minute tak haathon par ragadne  se bhi kaafi faayda hoga. Aisa week me 3 baar karna chahiye. Haatho aur paavo ki twacha ki atydhik khushki se niptne ke liye 1 chammach glycerin ko 100mililitre gulaabjal me milaaye. Iss mishran ko haathon   aur paavo par lagaane se nami aur komlata aa jaai hain.

Haatho ko saaf aur mulayam karne ke liye chini aur nimbu ka ras milaakar lagaaya ja sakta hain. Aap santre ke taaja chilko ko peeskar bhi use me le sakte hain.

Haatho ko saaf karte waqt yah bhi dhyaan de ki kisi kathor vastu se haath ko na ragde. Kai log lohe aur pathar se haathon ko ragdte hain, jisse skin ko nuksaan pahuchta hain.

No comments: