Gulabjal ke baare me aap log bahut acche jante hain ki yeh humaare ke liye kitna faydemand hain. Puraane samay se hi gulabjal aur gulaab tel ka istemaal twacha ko chamakdaar banaane ke liye kiya jata raha hain toh aaiye jaante iske behad faydemand upyog kounse hain.
1)Rose oil me anti-inflemetari property hoti hain. Iske alaava agar aap rozaana gulaabjal ka use karti hain toh twacha me moujud lalimaa aur rukhepanko yah khatam kar deta hain. Jise aapki twacha janwan dikhti hain.
2)Yah ek bahut accha cleanser hain. Gulaabjal chehre me moujud atirikt tel aur gandagi ko hatakar twacha ke romchhidro ko kholne ka kaam karta hain. Jis karan acne aue muhaaso ki samsya nahi hoti hain saath hi yah chehre se daag-dhabbe ko dur karne me bhi sahaayak hota hain.
3)Gulaab ki mahak mud ko sahi karne ke liye bahut upyogi hoti hain. Iska aroma aapko ander se shaant aur khush banaata hain, jis karan aap relex dikhai deti hain. Agar aapko tanaav mitaana hain tohiska istemaal kare. Yah neend laane me bhi sahaayak hota hain aur aapko freash rakhta hain.
4)Gulaabjal agar aapko lagaana hain toh ise raat me lagakar so jaana chahiye. Yah saari gandagi ko dur karta hain, Jisse aap din bhar bani rahegi fresh Yah pure din aapki twacha ko janwan aur fresh rakhne me madad karta hain.
Gharo me twacha ko chamakdaar aur komal banane ke liye gulaabjal ka upyog niymit taur par kiya jaata hain. Gulaabjal twacha ko ander se nami pradaan karne me sahayak hoti hain.
No comments:
Post a Comment