Wednesday 23 March 2016

Natural scrubs ke types



Image result for images of girls who applying natural scrubs on her face

Hello friends,
Humne pahle bhi humaare post natural scrubs ke baare me bataya hain par iss baar hum aapko natural scrubs ke types ki jaankari de rahe hain. Scrubs ko hafte , 2 hafte me ek baar lagaane se mrit twacha hatti hain aur twacha ke romchidra khulte hain. Chehre ki scin par glow lane ke liye market me kai tarah ke scrub aate hain lekin isse kai logo ko skin problem bhi ho jaati hain. Isliye baajar me paaye jaane vale scrub ke bajaaye ghar par hi kai tarah ke prakritik scrub ka use kiya ja sakta hain. Isse twacha ko koi nuksaan nahi pahuchta. toh chaliye hum aapko ab natural scrubs ke baare me jaankari dene ja rahe hain.


Papita aur annanaasImage result for images of papita aur annanaas

 Image result for images of papita aur annanaas
In falo me paaye jaane wale anjimes mrit twacha ko hatakar dull ski n par glow laane ka kaam karte hain. Jis vajah se twacha ki rangat bhi nikharti hain. Papita aur annanaas  se bana scrub samanay twacha ke liye bahut accha hota hain. Yah twacha ko sunder aur mulaayam banane me bhi madad karta hain.

Badaam aur jetun ka tel 

 Image result for images of badaam aur jetunImage result for images of badaam oil
Ghar me banaye jaane wale scrub me agar jetun ka tel aur badaam ka tel milaya jaaye toh isse twacha saaf hone ke saath -saath use poushak tatv bhi milte hain. Scrub me in dono telo ko milane se dry skin komal banti hain. Isliye hafte me ek se 2 baar aise scrub ka use jarur kare. Isse aapko anay skin samsaayo ka samana bhi nahi karna padega.

Berries scrubs

 Image result for images of berries
Woh scrub jo berries se nirmit ho, berries matlab strawberry, blueberry aadi ka use karna jyaada accha hota hain. kyunki yah antioxidents, vitamins aur minrels se bharpur hote hain tatha twacha ko uchit poushan dete hain.

Scrub chehre se keel-muhaase, daag dhabbe dur karte hain. In dino bazaar me bhi natural scrubs ka trand badta ja raha hain kyunki inme side effect hone ka khatra kam hota hain.

No comments: