Monday 14 March 2016

Subah subah pani peene se kya hain faayde

Hum jaante hain ki doctors humesha yah salaah dete hain ki din me 8 se 10 glass pani peena ek saamanay manushay ke liye laabhprad hota hain, kyunki isse sharir ke vishele tatv bahar nikalte hain. Isliye pani  ko itna labhdayak  bataaya gaya hain.

1) Pani humaare sharir me limf system ko sahi rakhta hain. Yeh gelands humaare sharir ke rozaana ke karupranaali ko behtar aur sharir ke taral padartho ka balance bhi banaaye rakhti hain.

2)Pani se twacha aur bhi jyaada glowing bhi banti hain subah-subah pani peene se pani sharir me moujud vishele tatvo ko bahar nikaalne ka kaam karta hain. Jisse humaara pachan tantr sahi tarike se kaam karta hain.

3)Pani vajan kam karne me bhi kafi madad karta hain. Subah-subah 16 ouns ke karib thanda pani peene se aapka metebolism 24 fisdi tak bad jaata hain. Jisse aap apne ko urjaa se bhara huaa mahsus karenge.

4)Subah pani peene se yah sharir me naye blood aur masals cells ke production ko aur bhi jyaada badaata hain.

5)Khaali pet subah pani se yah colan ke pyurification ka kaam karta hain, jisse sharir me poushak tatvo ka avsoushan badta hain.

Subah-subah uthkar khaali pet paani peene se aise bahut saare fayde hote hain, jinki bdoulat hum pure din ya kahe humesha swasth rah sakte hain, saath hi sharir bhi humesha fit najar aata hain.

No comments: