Tuesday 1 March 2016

Vitamin-C jo hain sharir aur skin ke liye labhdaayak



Image result for images of vitamin c fruits and vegetables

Sharir ko swasth banaye rakhne ke liye minerals aur vitamin ki aavshykta hoti hain. Sharir ko chust-durust banane ke liye inko apni diet me jarur shamil kare.

Santara
 Image result for images of orange fruit
Hum sabhi jante hain ki santra me vitamin-c ki bahutayat matra hoti hain. Iss fal ko khaane se mud humesha accha rahta hain aur aap auro se jyaada khush rahte hain aur humaare skin ke glow ke liye bhi jaruri hain.

Shimla mirch
 Image result for image of orange simla mirch
Sabjiyo ke taur par istemaal hone wali shimla mirch ke ek cup me vitamin c ki douguni matra hoti hain. Shimla mirch bahut hi accha praktrik strot hain vitamin c ka. Iska istemaal salaad ya sup dono me kiya ja sakta hain.

Strawberry

 Image result for image of orange strawberry
Khaane me thodi khatti strawberry bhi vitamin c ki ek acchi strot hain. Iske alaava isme fiber aur magneez bhi bahutayat matra me hoti hain. Strawberry ko halka sa kutkar isme thoda sadudh milaakar banaaiye ek testy smoothy, jo hoti hain vitamin se bharpur.

Papita
 Image result for image of orange papaya
Papita me vitamin A, C potecium aur fiber bahut hota hain. Papita pachan shakti me bhi faydemand hota hain. Ise aap smoothy banaakar ya aise hi kha sakte hain.

Vitamin C  humaare sharir ke liye jaruri poushak tatv hota hain, jo sharir se infection aadi ko dur kar humaare imune system ko majboot banata hain Upar diye gaye inn khaadhy padartho ke sevan se hume vitamin C pryaapt matra milta hain.

No comments: