Monday 29 February 2016

Dark circles hone ke karan


 Image result for images of girls who has dark circles

Hum jaante hain ki dark circles humaari chehre ki sundarta ko kam kar deta hain. Dark circles chehre ke liye ek abhisharp ki tarah hain. Humaari busy life me kai baar hum apne life me hone wali gatividhi ka dhyaan nahi rakh paate hain or kai galtiya kar jaate hain jo ek bada karan hain humaare dark circle hone ka toh aaiye jaante hain kya kya main kaaran hote hain dark circles hone ka yah jaankar hum dhayaan rakh sakte hain ki dark circle na ho.
Umar
Jaise-jaise humaari umar badti jaati hain, aankho ke neeche ki vasa dhili pad jaati hain. Yah ya toh ful jaati hain ya fir neeche ki taraf khisak jaati hain. Isse aankho ke chaaro aur ek chhaya padne lagti hain. Iska ilaaj adhiktar charm rog vishesyagy restileen jaise hialuronik acid se filing karke karte hain. Iska asar 9 mahine se lakar 1 saal tak rahta hain.

Khun ki naliyan
Samay ke saath-saath aankho ke neeche ki twacha patli hone lagti hain, jisse twacha ke neeche moujud laal-bangani khun ki naliya najar aane lagti hain. Isse bhi aankho ke chaaro aur ki twacha ka rang baaki chehre se alag najar aata hain. Retinaal yukt eyecreame se colejan ka utpaadan badne lagta hain aur twacha moti hain, Isse khun ki naliya kam dikhaai deti hain. Leisur se  bhi iska ilaaj ho sakta hain.

Jenetics
Aapki twacha ka rang bhi dark circles ki vajah banta hain. Twacha ka rang aapke jeans se tay hota hain. Yadi twacha ka rang saanvala  hain toh aankho ke chaaro  aur ki twacha  ka rang kam badalta hain, yani gore hone par dark circles jyaada hote hain. Haalanki leaisur therpy se aap inhe hatwa sakti hain.

Alergy
Jab aankhe fuli hui hoti hain toh bhi sujan ek chhaya paida karti hain, Jisse aankho ka chaaro aur ki twacha kali kagti hain. Isse liye alergy ke mausam me doctor ki salaah se antitheestamin le.

Inn aadato se ho jaate hain aur gahre
 Sunscreen na lagaana
Aankho ke chaaro ki twacha par patli hone ke karan suraj ki kirno ka sabse bura prabhaav padta hain. Yah ki twacha kai sunscreen ke prati sanvedansheel bhi hoti hain isliye apni twacha ke mutaabik sunscreen ka chunaav kare aur use acchi tarah se lagaaye.

Acche makeup remover ke use nahi karna
Yadi aap apni aankho ke chaaro aur ki twacha ko ragadti hain toh twacha ki capilari nasht ho jaati hain aur ghaav bhi ho sakte hain. Isliye acche cleansing oil ka istemaal kare. jo aankho ke makeup ko bagair kisi ragad ka hata de.

Garam pani ka use
Bahut-si mahilaaye garm pani se chehra dhoti hain. Isse aankhe aur ful jaati hain aur dark circles badte hain. Aisa hi asar hot steam ka bhi padta hain isliye chehra humesha gungune pani se dhoye. 

No comments: