Thursday 4 February 2016

Chehre se anchahe baalon ko dur karne ka upay


 Image result for IMAGES OF GIRLS WHO HAS HAIR OF HER FACE AND AFTER TREATMENT LOOKING BEAUTIFUL

Chehre par baal, dekhne me acche nahi lagte hain. Iss samasya ko dur karne ke liye kuch aise upaay aapke liye kafi madadgaar sabit ho sakte so mere dwara bataye gaye in tips ka use jarur kare toh padhiye mere dwara bataye gaye tips-
Besan ka paste-
 Ek katori mew aadha chammach besan, aadha chammach dudh, aadha chammach haldi powder aur ek chammach malai le. In sabko ek saath milakar iska paste tayaar kar le aur chehre par lagaaye. 25 minute baad chehre ko dho le. Yah chehre se anchahe baal ko dur karne me madad karega.

Neem paste-
 Ek katore me sukhi neem ki pattiya ya neem powder aur chutki bhar haldi milakar paste tayaar kare aur chehre par lagaaye.

Shahad-
 2 chammach kachche aaloo  ka ras, raatbhar bhigoi aur pisi hui arhar ki daal, 4 chammach nimbu ka ras aur 1 chammach shahad milakar paste bana le aur chehre par lagaaye aur jab sukh jaaye toh ise halke gungune pani se dho le. Yah chehre ke baalo ko hatane me madad  karne ke alava chehre par chamak banaye rakhne me bhi madadgaar sabit hoga.

Aap kitni bhi sunder kyu na ho par agar aapke chehre par baal hain toh chehre ki sundarta kam lagti hain. Inhe dur karne ke liye kisi bahri dawai ki jarurat nahi balki aapki rasoi me hi iska upchaar mil jaayega jo aapke chehre se baalo ko hatane me sahayak rahega.

THANK YOU. 

No comments: