Tuesday 23 February 2016

Neem ke labhdaayak upyog



Image result for images of neem

Kahte hain jis ghar me neem ka ek pad hain. Waha se bahut sari bimaariya toh khud b khud hi dur ho jati hain. Neem se jude chote-chote nushkhe jinhe apnaakar hum bimaariyo se kafi had tak chutkaara pa sakte hain.

Neem ke yun toh dhero laabh hain. Neem ki pattiyo ka lap har prakaar ke charm rog ko dur karta hain. Neem ki pattiyo ko pees kar use chehre par lap karne se funsiya aur muhaase mit jaate hain.

Neem ka daatun karne se daant chamakdaar aur masude swasth hote hain. Neem ki pattiyo ka ras peene se khun saaf hota hain aur chehre ki kranti badti hain. Do bhag neem ki pattiyo ka ras aur 1 bhag shahad milaakar peene se piliya rog me kafi fayda hota hain.

Neem ki sukhi pattiyo ko jalaane se utpaan dhuye se machhar bhag jaate hain.

Neem ke hare patte avam kali mirch ko lagbhag 10 dino tak faakne se jhukaam wa kaf dur ho jaata hain.

Neem ki chhaal me aise gun hote hain hain jo daanto aur masudho me lagne bactriyas ko panpne nahi dete.

Yunani chiktsa ke anusaar neem ki taasir bahut garm tatha khushk hoti hain.

Pet sambandhi anek samsyayo se nijaat pani me bhi neem sahaayak hota hain.

Neem ke phulo ko garm pani me masalkar wa chhaankar sote samay peene se kabj dur hoti hai.
Neem ki pattiyo ko sukhaakar shaakkar se khaane sedast me aaram milta hain.

No comments: