Thursday 25 February 2016

Pani badaaye aapke sharir ki chamak


 Image result for images of woman drinking water

Doctor's hamesha yah salaah dete hain ki din me 8 se 10 gilaas pani peena ek saamanay manushay ke liye laabhprad hota hain, kyuki isse sharir ke vishele tatv bahar nikalte hain.


Pani hamaare sharir me limf system ko sahi rakhta hain. Yeh gelands hamaare sharir ke rozana ke karypranaali ko behtar aur sharir ke taral padartho ka balance bhi banaye rakhti hain.

Pani se twacha aur bhi jyada glowing bhi banti hain subah-subah pani peene se pani sharir me moujud vishele tatvo ko bahar nikaalne ka kaam karta hain. Jisse hamaara pachan tantra sahi tarike se kaam karta hain.

Pani vajan kam karne me bhi kafi madad karta hain. Subah-subah 16 ons ke karib thanda pani peene se aapka metabolism 24 fisdi tak bad jaata hain. Jisse aap apne ko urjaa se bhara huaa mahsus karenge.

Subah pani peene se yah sharir me naye blood aur masals cells ke prodution ko aur bhi jyaada badaata hain.

Khaali pet subah pani se yah colan ke purification ka kaam karta hain, jisse sharir me poushak tatvo ka avsoshan badta hain.

Subah-subah uthkar khaali pet pani peene se aise bahut sare fayde hote hain, jinki badoulat ham pure din ya kahehamesha swasth rah sakte hain, saath hi sharir bhi hamesha fit najar aata hain.

No comments: