Monday 8 February 2016

Naariyal tel ke anokhe upyog

Nariyal tel sabse accha tel mana jata hain jiska upyog hum baalo me lagane ke liye hi adikter use karte hain par twacha ke liye bhi yeh behad upyogi hain .
Nariyal tel ke kuch aise anokhe istemaal hain ki aap janegi toh hairaan ho jaayegi.

Image result for images of uses of nariyal tel for face, hair,  makeup
Makeup me:-
Nariyal tel me powder me milaaye. Glocy shadow ke rup me ise istemaal kar sakti hain. moiturrizer ke rup me istemaal kare ya fir foundation me milaaye. Foundation thoda patla ho jaayega aur aasaani se chehre par lag jaayega.
Agar aapki twacha rukhi hain toh fir naariyal ka tel aapke liye accha makeup remover hain. Twacha ke teliya hone par iska istemaal na kare, varna aapke chehre par muhaase nikal sakte hain.

Sir ki samsyaao me bhi labhdayak:-
Fetty acids-antioxidents se bharpur nariyal tel ko shampoo karne se pahle lagaaye. Do muhe baalo ki samsya hain toh sone se pahle nariyal ka tel baalo ke seero par lagaaye. Baalo ko bleach ya colour karne se ghante bhar pahle nariyal tel lagaaye. Baalo ko nuksaan  kam pahuchega aur colour lambe samay tak tika rahega.

Twacha par:-
Nariyal tel ek bahut accha moiturrizer hain. Thoda-sa nariyal tel hatheli me le aur twacha par lagaaye. Yu toh nariyal tel muh par lagaaya ja sakta par kuch logo ko isse muhaase nikal jaate hain, isliye istemaal se savdhaani barte. Yah exima, khujli me bhi faydemand hain. Nariyal ke tel me pighla huaa madhumom(beej wex) aur kuch bunde sungandhit tel ko milaaye. Isse lip baam ki tarah bhi istemaal kare.

Dekha aapne humare nariyal ke kitne faydemand upyog hain toh aaj se hi nariyal tel ke inn upyogo ka fayda uthaaye aur hume bataaye ki aapke mere article kaise lag rahe plz jarur share kare aur koi beauty sambandhi koi jaankari chahiye toh jarur puche aapkon jwaab jarur milega.Aapke comments ke intzaar me
aapki apni rj jain
  THANK YOU

No comments: